Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay

jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
mujhey koi kari si saza tou na do gay

mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay

jo mein bata don meray mun main kia hay
tum jahan mein tamasha bana to na do gay

darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
tum hansi main baat ura to na do gay

agar mein bata don mein kia chahti hon
wafaon k badlay jafa to na do gay
aur mujh hi say daman chura to na lo gay

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai Hamaray lab jinhe chu le wo pathar

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close